URDU: 12 Imamo ki ta'dad ka zikr Ahle sunnat ki Kitaabo'n se

Posted at  3:09 PM  |  in  urdu


Waisay to is maamlay men ahlesunnat k hawaley beshumaar hen leken sirf mustanad tareen kitabon k hawaley paish hen:
Sahi Muslim urdu Jild 5 Kitab e Imaarat Baab 1, Baab ka naam: khalifa Quraish men se hona chahiye, Hadees number 4705, 4706,4707,4708 aur 4709,


Sunan abu daood Urdu Jild 3 Baab ka naam: Imam Mehdi ka bayan, hadess no 875, 876 aur 877 (Jis k kuch Raavi Umer bin Usman, Naamar, Maaviya, Ismaaeel, Ibi Khalid, Jabir Bin Sumra hen), men bayan hai

“Hazrat Jabir ibn e Sumra se riwayat hai k mein apney baap k saath Rasul Allah S.A.W k paas gya. Mein ne suna Aap S.A.W farmatey thay ye khilafat tamam na hogi jab tak k musalmanon men 12 khalifa na hongay. Phir Aap S.A.W ne aahista se kuch farmaya. Men ne apney baap se poocha k kya farmaya to unhon ne kaha k Aap S.A.W ne farmaya k ye sub khalifa Quraish men se hongay.”

Ahlesunnat ki mustanad tareen tafseer e quran jo k Hafiz Ibn e Kasir ne likhi hai men bhi ye riwayat hai jo k Tafseer Ibn e Kaseer Jild 2 (Tafseer e Sura Maeda Ayat no 12 para no 6 safha 43) Maktabaey Qadoosia men daikhi ja sakti hai
Ahlesunnat ki doosrey number ki tafseer Tafseer e Durre Manshur Jild 2 (Tafseer e Sura Maeda Ayat no 12 para no 6) Musanif Allama Jalal ud din sayyuti men ye riwayat kuch is tarah hai:
“Imam Ahmad aur Hakim ne Hazrat Ibn e Masood se riwayat naqal ki hai k in se poocha gya kitnay khalifa is ummat k baadshaah hongay to Hazrat Ibn e Masood ne kaha k hum ne is baarey men Rasul Allah S.A.W se poocha tha Aap S.A.W ne farmaya baara (12).”
Ye riwayat Masnad Ahmad Ibn e Hanbal jild 1 safha 398 Daar e Sadar Bairoot men bhi dekhi ja sakti hai
English Hadees ki kitabon men is riwayat k hawaley kuch yun hen:
Sahi Bukhari English Volume 9, Book 89, Hadees Number 329
Sahi Muslim English Book 20 (The Book On Government) Chapter 1: Name Of Chapter: “The People Are Subservient To The Quraish And The Caliphate Is The Right Of The Quraish”, Hadees Number 4477, 4478, 4480, 4481, 4482 and 4483,
Sunan Abu Daood English Book 36, Hadees Number 4266

Share this post

0 comments:

Thanks

About-Contact us
Copyright © 2013 AWAZE HAQ. Blogger Template by BloggerTheme9
Proudly Powered by Blogger.
back to top