URDU: Bibi Fatema-tuz-Zehra ASWS’s

Posted at  9:38 AM  |  in  urdu

Name: Fatema
Laqab: Sayyad-ul-Nisa-ul-Aalameen and Umm-e-Abiha
Father: Maula Rasoolallah SAWAW
Mother: Bibi Khadija-tul-Kubra ASWS
Husband: Maula Ali ASWS
Sons/Daughters: Maula Hasan ASWS, Maula Husain ASWS, Bibi Zainab ASWS, Bibi Umm-e-Kulsom ASWS, Hazrat Moshin ASWS (matryed in womb)
Birth: 20-Jami-us-Sani-5 Beysat, Makkah
Shahadat: 3-Rabi-us-Sani/14-Jamadi-ul-Awwal-11 Hijri
Grave: Jannatul Baqi, Makkah
-----------------------------------------------------
Aasmano mein Bibi Fatema ASWS ko kin 3 naamo se pukara/jana jata hey?
1) Nooria
2) Samawia
3) Hania
(Reference: Baitul Ahzan)
-----------------------------------------------------
Q. Bibi Fatema ASWS kay ghar ka darwaza jab jalaya gaya aur Bibi per giraya gaya, us waqt Bibi ne sab se pehlay kis ko pukara tha?
A. YA-MEHDI ADRIKNI
-----------------------------------------------------
Q. Bibi Fatema-tuz-Zehra ASWS ke sab se pasandeeda sahabi kon thay?
A. Hazrat Salman Farsi RA
-----------------------------------------------------
Q. Bibi Fatema-tuz-Zehra ASWS ki namaz-e-janaza mein Maula Ali ASWS ne kitni takbeer kahi theen?
A. Five (5)
-----------------------------------------------------
Q. Woh konsi bahishti khawateen hain jo Bibi Fatema-tuz-Zehra ASWS ki wiladat key moqay per Bibi Khadija ASWS kay paas aaen?
A. Bibi Sara AS (wife of Hazrat Ibrahim AS), Bibi Aasiya AS Binte Mazahim, Bibi Maryam AS Binte Imran, Bibi Kulsoom AS (sister of Hazrat Moosa AS)
-----------------------------------------------------
Hadees-e-Pak:
Aisa shakhs Bibi Fatema ASWS per rota accha nahi lagta jo apni Betiyon aur Behano ko bina Chadar (Hijaab) kay bahir nikalnay ki ijazat dey.
-----------------------------------------------------
Bibi Fatema Zehra ASWS said:
Jis ne Allah ki taraf khalis ibadat bheji, Allah sab se afzal maslehat us ki taraf bhejay ga.
-----------------------------------------------------
Bibi Fatema-tuz-Zehra ASWS said:
Jannat mein 3 sifat ki hamil khawateen meray sath hongi:
1) Jo apnay shohar ki nadari aur gurbat per sabra ho
2) Jo apnay shohar kay buray ikhlaq per sabra ho
3) Jo gunahon kay mahool mein apnay aap ko gunahon se bachati ho
-----------------------------------------------------
Bibi Fatema-tuz-Zehra ASWS said:
Khuda ka deedar ho sakta hey, lekin Basarat se nahi, balkay Baseerat se.
-----------------------------------------------------
Bibi Fatema Zehra ASWS said:
Khuda ne waldain kay sath neyki ko apni narazgi kay liye dhaal banaya hey.
-----------------------------------------------------
Bibi Fatematuz Zehra ASWS said:
Sab se behtar aurat woh hey jo na kisi na-mehram ko dekhay aur na koi na-mehram usay dekhay.
-----------------------------------------------------
Bibi Fatema-tuz-Zehra ASWS said:
Ahl-e-Emaan woh hain jin kay dil mein Allah kay khauf kay ilawa kisi ka khauf peyda nahi hota.
-----------------------------------------------------
Bibi Fatema Zehra ASWS said:
Khuda ne namaz ko tumharay liye taqabbur se doori karar diya hey.
-----------------------------------------------------
Bibi Fatema-tuz-Zehra ASWS said:
Jisay ek baar aazma liya usay baar baar aazmaney se kiya faida.
-----------------------------------------------------
Bibi Fatema Zehra ASWS said:
Jab tum apnay bister per jao tou Sura-e-Fateha aur Sura-e-Ikhlas ko perh liya karo, maut kay ilawa har cheez se bey-khauf ho jao gey.
-----------------------------------------------------
Bibi Fatema Zehra ASWS said:
Aurat ki meraj us ka perda hey.
----------------------------------------------------
Bibi Fatema Zehra ASWS said:
To get rid of fever, recite Dua-e-Noor daily.
-----------------------------------------------------
Bibi Fatema-tuz-Zehra ASWS said:
Jis tarah Moti kay liye Sadaf aur Jawaheraat kay liye Sandooq zaroori hey, isi tarah aurat kay liye perda zaroori hey.
-----------------------------------------------------
Bibi Fatema-tuz-Zehra ASWS ne waseeyat ki kay mera haq cheennay walay meray janazay mein shareek na ho aur mujhay raat ko dafan kiya jaye.
Chunanchay, Maula Ali ASWS se in ki waseeyat kay mutabik in ka haq cheennay walon ko in kay janazay ki khabar nahi ki aur inhein raat ko hi dafan ker diya.
-----------------------------------------------------
Maula Muhammad Baqir ASWS said:
Agar Tasbeeh-e-Fatema-tuz-Zehra ASWS se koi cheez ziyada fazeelat wali hoti tou Maula Rasoolallah SAWAW Bibi Fatema-tuz-Zehra ASWS ko zaroor taleem fermatay.
-----------------------------------------------------
Ayatullah Khomeni RA said:
Duniya ki koi taqat humain shikast nahi dey sakti jab tak hamaray ek hath mein Khak-e-Shifa aur dosray hath mein Tasbib-e-Bibi Fatema hey.
-----------------------------------------------------
Maula Ali ASWS narrated from Maula Rasoolallah SAWAW that when Maula Rasoolallah SAWAW was asked about the meaning of Batool that:
"O Prophet SAWAW, we heard from you that Maryam is Batool and Fatima is Batool, so what is the meaning of Batool?”

Maula Rasoolallah SAWAW replied:
"Batool is that woman who never gets the blood of mensis, no doubt, Allah did not like this (that is mensis) for the daughters of prophets".

Reference: Maani-ul-Akhbar, Sheikh Sudooq, Chapter-28, Hadees-17, Page-104
-----------------------------------------------------
Bibi Fatema-tuz-Zehra ASWS used to work very hard in her house. Her father Maula Rasoolallah SAWAW could see how hard she worked.
One day, he told her that he was going to give her something that would be better than a helper or anything else in the world.
He taught her this Tasbeeh saying that after every Salaat she should say:
Allahu Akbar-34 times, Alhamdulillah-33 times, Subhanallah-33 times.
This is what we call the Tasbeeh-e-Bibi Fatema-tuz-Zehra ASWS.

It is said that Prayer is like a Beautiful Flower and the Tasbeeh-e-Bibi Fatema-tuz-Zehra ASWS gives this Beautiful Flower a Beautiful Fragrance.
-----------------------------------------------------
AURAT:
Agar Beti hey tou “Maa-Baap kay liye Rehmat”
Agar Biwi hey tou “Shohar kay Nifs Emaan ki Waris”
Agar Maa hey tou “Is kay Qadmon talay Jannat”

Lekin Syeda Bibi Fatema-tuz-Zehra ASWS ki shaan dekhiye kay:
Us Baap kay liye Rehmat jo Rehmatul Lil Aalameen hain
Us Shohar kay liye Nifs Emaan jo khud Kul-e-Emaan hain
Aur Aap kay Qadmon mein un Beyton ki Jannat hey jo khud Jawanan-e-Jannat kay Sardar hain
-----------------------------------------------------
Kahan se lain zuban midhat-e-Fatema kay liye
Khuda pe choriye is kaam ko Khuda kay liye
Yeh baat kafi hey Zehra ki bas sana kay liye
Husain ko dey diya Islam ki baqa kay liye
-----------------------------------------------------
DHOONDHNEY SE BHI NA MILAY GI KABHI KOI AISI PANAH
TERI CHOKHAT KAY ILAWA TERI CHADAR KAY SIWA
NAHI HO SAKTA KOI KAABA NA KOI NOOR KA GHAR
TERAY SEHAN KAY ILAWA AUR TERAY GHAR KAY SIWA
HAIN ALI AUR BHI KIRDAR MEIN HAIDER KAY SIWA
FATEMA KOI NAHI BINT-E-PAYAMBER KAY SIWA
KIS SAY HO TERI SANA AYAAT-E-TATHEER KAY BAAD
KAUN DEY DAAD-E-SHUKHAN SURA-E-KAUSAR KAY SIWA
RAKH DIYA KATIB-E-TAQDEER NAY YA LIKH KAY QALAAM
HUKM-E-ZAHRA BHI ZAROORI HEY MUQADDAR KAY SIWA
KIS MEIN HIMMAT HEY KE RAKHEY DOSH-E-PAYAMBER PE QADAM
TEREY BACHOON KAY ILAWA TEREY SHOHAR KAY SIWA
-----------------------------------------------------
Bibi Fatema Zehra ASWS kay ikhtiyaraat:
Chahay tou Kaneez-zad ko Yazdan bana dey
Aangan mein hui Baat ko Quran bana dey
Habshi ko kabhi Sahib-e-Azaan bana dey
Darban per raazi ho tou Salman bana dey
Hasnain ko Tauheed ka Akkas bana dey
Tu jis ko Dua dey usay Abbas bana dey
-----------------------------------------------------
Roti hui darbar se lout aai Fatema
Janey kiya kiya wahan pe dekh aai Fatema
Is baat ka nahi gham jageer cheen li
Rona tou yeh hey tum ne jhutlai Fatema
Khud hi bata musalman teray sitam kay baad
Duniya mein kitnay din thi jee pai Fatema
Ro ro ker keh rahi hey Qabr-e-Rasool per
Teray baad har dosray ne hey satai Fatema
-----------------------------------------------------
Haq se kabhi mehroom jo haqdaar na hotay
Duniya mein kahin zulm kay aasaar na hotay
Hotay nahi Salman kabhi Fakhr-e-Suleman
Agar Fatema Zehra kay namak khuwar na hotay
-----------------------------------------------------
Aasman walay isi dar se rasad maangtay hain
Ambia in se taharat ki sanad maangtay hain
Mustafa detay hain mushkil mein Ali ko aawaz
Aur Ali Fatema Zehra se madad maangtay hain
-----------------------------------------------------
Momino bichh gaya Farsh-e-Aza-e-Zehra
Hoti hey seena zani aaj bara-e-Zehra
Ghusl kay waqt jo pehlu ko shikasta dekha
Kitna hasrat se Ali ne kaha haye Zehra
Ghar mein ronay per shikayat hey musalmano ko
Baap ko ronay ki khatir kahan jaye Zehra
-----------------------------------------------------
Ummat ka Sayyeda se rawaiya ajeeb hey
Darbar mein Bibi ko satana ajeeb hey
Un fasiqon ko kesay khalifa kaha gaya
Kay jin ko musalman bhi kehna ajeeb hey
Kay jis kay ehteram mein uthtay thay khud Rasool
Us kay hi ghar mein aag lagana ajeeb hey
Saail jo khud ko kehti kaneez-e-Batool hey
Un ka yoon bey-rida nazar aana ajeeb hey
-----------------------------------------------------
Alam mein youn shareek-e-Risalat hey Fatema
Rehmat Nabi tou saya-e-rehmat hey Fatema
Maryam ka bhala Fatema se kiya muqabila
Maryam hey Abida tou ibadat hey Fatema
-----------------------------------------------------
Tazkira Fatema Zehra ka zara ho jaey
Kiya haqeeqat hey zamanay ko bayan ho jaey
Us se Allah-o-Nabi ho nahi saktay razi
Jis se Shehzadi-e-Konain khafa ho jaey
-----------------------------------------------------
Aata hey meray lab per jab bhi bar-umar lanat
Aati hey fizaon se sada bar-umar lanat
Aaya jo jaan-kani mein meri mout ka malak
Tou mein ne jaan-kani mein kaha bar-umar lanat
Us ne yeh keh ker rooh ko araam se khencha
Tum bhi yeh kaho mein bhi kahon bar-umar lanat
Iblees ne dekha jab dekha kirdar umar ka
Hanstay huway kehnay laga bar-umar lanat
Sahil jo kabhi dekhta hey galyon mein kuttay
Aata hey beysakhta zuban per bar-umar lanat
-----------------------------------------------------
Makhlooq kay sultan ki taskeen hey Zehra
Yaseen bhi kehti hey kay Yaseen hey Zehra
Islam ne Zehra ki fazeelat mein kaha hey
Mein Deen-e-Muhammad hoon mera Deen hey Zehra
-----------------------------------------------------
Hey yeh aqeeda ba-roz-e-mehshar falak per yeh ehtamam hoga
Meray khayalon se bhi ziyada wasee tera ek muqaam hoga
Kaheen Muhammad ki muskurahat kaheen Khuda ka kalaam hoga
Gulon ko nisbat Ali se hogi kali per Zehra ka naam hoga
Yeh Ambiya sab wazeer hongey Sardar mera Imam hoga
Yeh aks hey ek Saltanat ka Husainiyat jis ka naam hoga
-----------------------------------------------------
Ab kay baad-e-saba tu jo idhar se guzray
Kehna Maula se sawari meray ghar se guzray
Tu tou Makhdooma-e-Konain hey Aey Bint-e-Nabi
Ba-adab ho kay farishtay teray dar se guzray
Dekh lein Roza-e-Abbas ko hum bhi Ya Rab
Yeh dua dekhiye kab Bab-e-Asr se guzray
-----------------------------------------------------
Khuda woh hey jo qatray ko faiz-e-aam karay
Nabi woh hey jo Khudai ka intezam karay
Kaaba woh hey jisay sajda khaas-o-aam karay
Ali woh hey jisay Kaaba khud salaam karay
Fatema woh hey jis ka Nabi kharay ho ker ehteraam karay
Hasan woh hey Allah Jannat jis kay naam karay
Husain woh hey jo sar kata ker bhi nezay per kalaam karay
Abbas woh hey jisay wafa khud salaam karay
Momin woh hey jo Karbala ka zikr khaas-o-aam karay
-----------------------------------------------------
Fehm-o-khayal-o-fikr se bala hey Fatema
Rehti Ali kay ghar mein hain Aala hey Fatema
Zer-e-Kisa Allah se taaruf tou sun zara
Had hey kay Mustafa ka hawala hey Fatema
Dukhtar-kashi kay dais mein beti ka ehteram
Tum ne hi is rivaaj ko dala hey Fatema
-----------------------------------------------------
Zikr-e-Ali hey jis per waar, us per lanat beyshumaar
Jo bhi karay is se inkaar, us per lanat beyshumaar
Saaf hey Ferman-e-Nabi, mera Wasi hey sirf Ali
Phir bhi kahay jo un ko yaar, us per lanat beyshumaar
Zehan-e-Nabi per shak jo karay, beySamajh bak bak ho karay
Woh khud hey zehni beemaar, us per lanat beyshumaar
Zalim ghasib aur shaatir, teeno kay teeno kafir
Zehra hain jis se beyzaar, us per lanat beyshumaar
-----------------------------------------------------
Madar-e-Esa hain Maryam bais-e-sad iftekhar
Fatema Zehra nisaai do jahan ki tajdaar
Kis ki dukhtar Allah Allah binte Shah-e-Mursaleen
Tajdaar-e-Anbiya aur Rehmatullil Aalameen
Madar-e-Fakhr-e-do-Aalam Asihq-e-Rabb-e-Jaleel
Woh kay hain esaar-o-sabr-o-sidq mein Fakhr-e-Khaleel
Seerat-e-Aulaad ki maymaar Maa hey la-kalaam
Johar-e-ausaf dena hey faqat madar ka kaam
Madar-e-Shabbir is maydaan ki hain tajdaar
Uswa-e-Kamil hain har Maa kay liye un ka shuaar
Is qadar reham-o-karam imdaad-e-saail kay liye
Bech ker apni rida mohtaj ko dirham diye
Theen usi ghar ki jahan sabr-o-raza bunyaad thi
Haath mein mehnat kashi lab per Khuda ki yaad thi
Itaat-e-Khaliq mein rehti theen jahan se bey-khabar
Bheeg jata tha musalla ashk-e-ghitay is qadara
Rokta na agar humain Ehkaam-e-Qurani ka dar
Aur khilaf-e-hukm-e-Peygamber na hota yeh agar
Misal-e-perwana fida ho ker lehad ki khaak per
Sajday kertay hum hazaar un kay Mazaar-e-Pak per
-----------------------------------------------------
Kyun yeh amal Huzoor ko itna pasand hey
Nakaam is mein fikar bashar ki kamand hey
Ki umr bhar Huzoor ne tazeem-e-Fatema
Beti ka goya Baap se rutba buland hey
-----------------------------------------------------
Din raat apnay lab pe yehi ek kalaam hey
Dam dam Janab-e-Zehra pe apna salaam hey
Jannat tou bus hey Fatema Zehra ki ek raza
Dozakh Janab-e-Zehra kay ghussay ka naam hey
-----------------------------------------------------
HAR EK NABI KAY WASTE FIDYA HAI FATEMA
KOL-E-NABI HAI UMM-E-ABIHA HAI FATEMA
PERHTAY THAY JO ALI WOH WAZIFA HAI FATEMA
AAGAY KHUDA HI JANAY KIA HAI FATEMA
DAR HAI KAY KOI KISI KA FATWA LAGA NA DEY
MUFTI KAHIN MUJHAY BHI NUSERI BATA NA DEY
-----------------------------------------------------
Ali sab kay hain Maula bura lagay tou lagay
Yeh faisala hey Khuda ka bura lagay tou lagay
Woh jis ne Fatema Zehra ki pasliyan tori
Karonga us pe tabarra bura lagay tou lagay
-----------------------------------------------------
Jabeen-e-arsh ko Kaaba bohat zaruri hey
Dar-e-Husain pe sajda bohat zaruri hey
Jo chahtay ho kay Allah tum se raazi ho
Raza-e-Fatema Zehra bohat zaruri hey
Kasam hey Bibi teray pehlu-e-shikasta ki
Sitamgaron pe tabarra bohat zaruri hey
-----------------------------------------------------
Kam zarf log sahib-e-tehkeer ban gaye
Khud aap apnay zehan ki tasdeeq ban gaye
Zehno kay inqilab ka fitna tou dekhiye
Haq Fatema ka cheen ker siddiq ban gaye
-----------------------------------------------------
Hey Fatema Zehra ki kaneezon se guzarish
Kirdar ki taqat se zamanay ko hila do
Tum Zainab-o-Kulsoom kay khutbon ki amen ho
Khuwabdeeda khuwateen kay zehno ko jaga do
Samjho kay shimr ab bhi rida khench raha hey
Tum Sunnat-e-Zainab mein zara perda bana do
Bazaar mein maangi thi rida Bint-e-Ali ne
Tum bhi tou ridaon kay taqaddus ki sada do
Jis soch per Karbal mein jala Kheyma-e-Zainab
Hey ab bhi wohi soch kay ghar un kay jala do

Share this post

11 comments:

  1. Somebody essentially assist to make severely posts I'd state. This is the first time I frequented your website page and up to now? I surprised with the research you made to make this actual publish extraordinary. Wonderful process!

    my blog ... drolet.ca

    ReplyDelete
  2. Everyone loves what you guys are usually up too. This kind of clever work
    and exposure! Keep up the superb works guys I've included you guys to my blogroll.

    my blog post: More Info

    ReplyDelete
  3. What's Going down i'm new to this, I stumbled upon this I've discovered It positively useful and it has helped me out loads. I'm hoping to give a contribution & aid different customers like its aided me.
    Great job.

    Feel free to visit my page - Discover More Here

    ReplyDelete
  4. Pretty nice post. I just stumbled upon your weblog and wanted to say that I've really enjoyed browsing your blog posts. In any case I will be subscribing to your feed and I hope you write again soon!

    my web site; more

    ReplyDelete
  5. Hello, this weekend is pleasant designed for me, because this occasion i am reading this
    fantastic educational paragraph here at my home.

    Also visit my weblog: Sac Guess

    ReplyDelete
  6. Definitely believe that which you stated. Your
    favourite justification seemed to be at the web the
    easiest thing to keep in mind of. I say to you, I definitely get annoyed at the same time as
    other people think about issues that they just do not recognize about.
    You managed to hit the nail upon the highest as neatly as defined out the whole thing without having side-effects , other folks could take a
    signal. Will probably be back to get more. Thanks

    Also visit my webpage ... web site

    ReplyDelete
  7. If you desire to grow your familiarity only keep
    visiting this web page and be updated with the most recent information
    posted here.

    my site ... cheap Jerseys

    ReplyDelete
  8. This website was... how do I say it? Relevant!! Finally I've found something that helped me. Thanks a lot!

    Here is my weblog Air Max Femme

    ReplyDelete
  9. This is a really good tip especially to those fresh to the blogosphere.

    Short but very accurate info… Thank you for sharing this one.
    A must read post!

    Here is my web-site Boutique Air Max

    ReplyDelete
  10. Grave... Jannatul baki makka likkha huwa plz makka nahi madeena munwwara hai...

    ReplyDelete
  11. Allah Pak Kay Quran ko Chor kar Bhattag gay saaray Naa Duniya Milay gi Naa Deen Milay gaa

    ReplyDelete

Thanks

About-Contact us
Copyright © 2013 AWAZE HAQ. Blogger Template by BloggerTheme9
Proudly Powered by Blogger.
back to top