Nauha Imam Ali (a.s.)

Posted at  6:09 AM  |  in  Nauha


1.

Waseeye Mustafa (SAW) ka mominoN ta'aboot jaata hai

hAr ek peer o jawaaN iss gham meiN sar par khaak uRaata hai


yateemaan'e Ali roat'e jo haiN sAr peet kar paihAm

to hAr aaNsu ka qatra arsh ko jumbish meiN laata hai


chaley haiN leike taaboot'e padar Shabbir aUr Shabbar

janaab'e Zainab o Kulsum ko ghash pAr ghash aata hai


hai ek shoar'e qayaamat koochao baazar meiN barpaa

Najaf ki simt Kufa se janaaza Shayh ka jaata hai


idhar Hasnain taaboot'e padar par sUrf'e girya haiN

talaatum hai udhar, Dajla ka paani josh khaata hai


hawaaoN par asar hai yeh gham'e fakhr'e SuleimaaN ka

ke hAr jhoNka bagoola ban ke khaak'e dasht uRaata hai


makeen'e khaanaey Ma'abood uTtha aaj duniya se

yeh sannaata hameiN koofa ki masjid ka bataata hai


hai ek sakt'e ka aalam aaj tak eik eik zarr'e par

dar o diwaar'e Kufa se gham'e shayh uMdaa aata hai


Najaf jaane ki hai aey Fikr* hasrat tO bahot lekin

ziyaarat ho mayassar, deikhiye woh din kab aata hai




2.

chale hain jaanibe masjid ALI har eik roata hai

gareibaan'e sahar bhi mominoN ab chaak hota hai


sitaara subho ka hai cheieRta dil ke phapholon ko

hAr ek jhoNka naseem'e saRd ka nashtar chubhoata hai


imame awwaliN ki aakhri shabb hai ibaadat ki

charaaghey zindagi kuch deir meiN khaamosh hota hai


lipatTi haiN idhar murghabiyaaN qadmoN se hazrat ke
udhar hAr halqaey zanjeer'e dArr meiN shoar hota hai

bata aey masjid'e Koofa, tahey mehraab pichl'e se
chupaaey teigh'e sAm aalood yeh kaun aaj soata hai

Ali Ibne Abi Taalib ka gham wo gham hai aalam meiN
ke jo sunta hai woh ro ro ke apni jaan khoata hai

shab'e basto yakum Ramzaan sUnn chaalis hijri se
falak bhi roaz pardey meiN shafaq ke khoon rota hai

bula lo jald aaqa FIKR* ko bhi apney rauzey par
ke ab zikr'e Najaf se wo bahot beitaab hota hai




3.

aey mominoN hai beeswiN maah'e RamazaaN ki, wa hasrat o darda
batlaati hai baRhti hui hasrat yeh makaaN ki, waa hasrat o darda

ab noor na deikheiga koi sheir e Khuda ka, ghul hoga buka ka
raunaq hai faqat eik hi shabb bazm'e jahaan ki, waa hasrat o darda

jab zakhm'e sar'e shaah ko jar'raah ne deikha, sAr peet ke bola
ummid nahiN sehatte sardaar'e jahaaN ki, waa hasrat o darda

hAr kuuchao baazaar meiN hai shoar'e qayaamat, kaisi hai museebat
badli hui haalat hai hAr ek peer o jawaaN ki, waa hasrat o darda

HasnaiN bhi beitaab haiN Zainab bhi haiN muztar, hUm roaeiN na kyuNkar
rukhsat hai koi aan meiN shaah'e do_jahaaN ki, waa hasrat o darda

bin baap ke bachchoN ki bahot ghair hai haalat, thamti nahiN riqqat
ab kaun khabar leiga yateemaan'e jahaaN ki, waa hasrat o darda

deikha hai lahoo jab se sAr'e Shaah'e Huda ka, andheir hai duniya
beitaab haiN maujeiN bhi hAr ek bahr'e rawaaN ki, waa hasrat o darda

iss ghum se sar'e mauj'e saba Jin bhi haiN giryaaN, hai hashr ka saamaaN
aawaaz hawaaoN se bhi aati hai fughaaN ki, waa hasrat o darda

ab kar yeh dua hAq se mayassar ho ziyaarat, bAr aaey yeh hasrat
aage nahiN aey Fikr* bAs ab taab bayaaN ki, waa hasrat o darda

Share this post

0 comments:

Thanks

About-Contact us
Copyright © 2013 AWAZE HAQ. Blogger Template by BloggerTheme9
Proudly Powered by Blogger.
back to top